اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Kaun Se Baal Utarne Jaiz Hai Aur Kaunse Utarne Jaiz Nahi ?

hi  -
Sawaal- Mujhe ilm hai ke eyebrow ke baal utarne, aur chehre ke baal nochne haraam hai, lekin mujhe ilm hai ke honton ke uper wale baal utarne mumkin hain lekin jo baal sar aur eyebrow ke darmiyan ho un ka hukm kya hai?

Alhamdulillah,

Awwal: Baal utarne ke aitebar se ulema ne balon ko 3 qismo me taqseem kiya hai:

۩ Pahli Qism:


Wo baal jin ke utarne aur katne ka hukm diya gaya hai.  Aur wo ye baal hain jinhe fitrati sunnat kaha jata hai. 
Misaal ke tour par zer e naaf, aur muncho ke baal, aur baglon ke baal, aur is me Hajj aur Umrah ke mauqe par sar ke baal chote karana aur sar mundwana bhi dakhil hota hai.

Is ki daleel Ayesha r.a. ki darj e zail hadees hai wo bayan karti hain ke Rasool ﷺ ne farmya, "10 chizen fitrat me se hain; Munchen katna, Dadhi badhana, miswak karna, naak me pani chadhana, nakhun katna, unglion ke poore (joints) dhona, baglon ke baal ukhedna, zer e naaf baal mundwana, aur pani se istanja karna."

Zakariyya kahte hai, Mus'ab ne kaha: "Mai (10) daswee cheez bhul gaya hoon magar wo kulli karna ho sakta hai."

Narrated by Muslim, Hadith-502.

۩ Dusri Qism:


Wo baal jin ko utarne ki hurmat (manahi) aati hai. Is me eyebrow ke baal utarne shamil hain, aur is fail ko nams ka naam diya jata hai, aur is tarah darhi ke baal.

Is ki daleel darj e zail hadees hai:

Abdullah bin Mas'ood r.a. bayan karte hain mai ne Rasool kareem ﷺ ko farmate hue suna:

"Allah ta'ala godne aur gudwane walion, aur eyebrows ke baal ukhedne walion, aur khoobsurti ke liye dant ragad kar bareek karne walion, Allah ki paida karda surat me tabdeeli karne walion par laanat farmayi."

Narrated by al-Bukhaari, 5931; Sahih Muslim, 2125.

Aur Abdullah bin Umar r.a. bayan karte hain mai ne Rasool ﷺ ko farmate hue suna:

"Mushriko ki mukhalifat karo, dhadhion ko badhao aur munchen past karo."

Narrated by al-Bukhaari, 5892; Muslim, 259.

Imam Nawawi r.h. kahte hain:

"Al Naamisah: Wo aurat hai jo chehre ke baal utare. Aur
 Al-Mutanammisah:  Wo aurat hai jo apne chehre ke baal utarwaye.
Aur ye fa'il haraam hai, lekin agar aurat ko dadhi ya munchen aa'jaen to use utarna haram nahi, balke hamare nazdeek wo mustahab hai."

Sharh al-Nawawi li Saheeh Muslim, 14/106 .

Teesri Qism:


Wo baal jin se shariyat khamosh hai, in ke mutalliq na to utarne ka hukm hai, aur na hi inhe baqi rakhne ka wajub,
Maslan pindlion aur hatho ke baal, aur rukhsaron (Gaal, cheeks) aur peshani per ugne wale baal.

To in baalon ke mutaliq ulema e karam ka ikhtilaf hai:

Kuch ulema kahte hai ke inhe utarna jaiz nahi,  Kyun ke inhe utarne me Allah ta'ala ki paida karda surat me tabdeeli hai.
Jaisa ke Allah ne shaitan ki baat ko naqal karte hue farmya: "Aur mai yaqeenan inhe Allah ki paida karda suraton me tabdeeli ka hukm dunga."
[al-Nisa’ 4:119 – interpretation of the meaning] 

Aur kuch ulema ka kahna hai (aur ye Raaye mujhe behtar lagti hai Deen ke Usool ki roshni me) ki:
Ye baal in me shamil hain jis per shariyat khamosh hai, aur us ka jayez wala hukm hai aur wo inhe baqi rahne ya utarne ka jawaz hai,  Kyun ke jis se kitaab o sunnat khamosh ho wo muaf karda hai.

Mustaqil Fatwa Committee ke ulema e karaam ne yahi Qaul iqhtiyar kiya hai aur isi tarah Shaykh Ibn ‘Uthaymeen ne bhi yahi Qaul iqhtiyar kia hai.
See: Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah, 3/879.

Mustaqil Fatwa Committee ke Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah me hai:

1. Aurat ke liye apni Munchen, Raano aur Pindlion aur Bazu'on ke baal utarne me koi haraj nahi, aur ye mamnoo e tanammus (plucking) me se nahi hai"

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/194, 195.

2. Mustaqil Committee se daryaft kiya gaya:

Islam me eyebrows ke darmiyan baal nochne ka hukm kya hai?

Committee ka jawab:

Inhe nochna jaiz hai; kyun ke ye eyebrow me shamil nahi hain."

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/197.

3. Aur Committee se ye bhi sawal kiya gaya, "Aurat ke liye apne jism ke baal utarne ka hukm kiya hai?"

Committee ka jawab tha:

Sar aur eyebrows ke balon ke alawah aurat ke liye baal utarne jaiz hain,  Eyebrow aur sar ke baal bilkul utarne jaiz nahi aur na hi eyebrows ke kuch baal mundwane jaiz hain.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah, 5/194.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamare Dil nekiyo ke liye khol de aur burai se mahfuz rakhe. aameen.